shair ab tak to ye kahta tha ki mera mahbub kuchh is andaz se chup-chap mere pas aaya jaise phulon pe utarti hai subuk-pa shabnam lekin is daur ko kya jaaniye kya rog laga ab to mahbub ki aamad bhi nahin hashr se kam ek ek sans mein hain kitne chhanake barpa ab to mas karti hai jab aise ezar-e-gul se aisi aawaz se gunj uthti hai gulshan ki faza jaise jalte hue jangal pe baras jae ghata fan ke mear badalte to hain lekin ab ke is qadar shor hai kyun ai mere khamosh khuda