mera desh
By krishn-parvezSeptember 23, 2023
taj-mahal hai jhumar is ka kashmir hai gahna
kanyakumari pael is ki desh ka hai kya kahna
mere desh ka kya kahna
ganga jamuna is ki aankhen lal qila dil is ka
aaj himala parbat jaisa hai mustaqbil is ka
koi nahin duniya mein dekho aaj muqabil is ka
mere desh ka kya kahna
jaliyan wala raj singhasan aazadi ka takht-o-taj
jamea masjid is ki izzat birla mandir is ki laj
roz sawere sargam gati qudrat le kar apne saz
mere desh ka kya kahna
din holi aur raat diwali tyauhaaron ka desh hai ye
'ghaalib' aur 'tagore' ki dharti fankaron ka desh hai ye
jam-e-shahadat pine wale mai-khwaron ka desh hai ye

48936 viewsnazm • English