mera jazba-e-shauq kaam aa raha hai ki bazar mein dekhun aam aa raha hai gharib-o-amir us ke shaidai yaksan pasandida-e-khas-o-am aa raha hai kisi muqtadi ko khridun main kyunkar ki jab khud phalon ka imam aa raha hai sab hathon ko phailaen aankhen bichhaen phalon mein wo aali maqam aa raha hai wo chausa saroli wo sindhdi wo fazli wo aamon ka ek azhdaham aa raha hai hai langda pa langdate langdate dekho wo mahbub-e-man khush-khiram aa raha hai mujhe hai khushi jo hain diwane us ke 'asar' un mein mera bhi nam aa raha hai