mera kaghaz kai janmon se safed hai

By omainuz-zahra-sayyadSeptember 28, 2023
diya bujha do
ab andhere se khatra nahin
raushni ke dasne ka
imkan ziyaada hai


bukhar ki hiddat mein bahte wajud par
ek wajd tari ho gaya
tadapti ruh se juda la-shuuri hashiya dekh kar
sanson ki mahak badalne lagi


jism jalne ki badbu se uktae
kamre ki wahshat munh chhupae
ek kone mein baithi aag
sard-gun hai


chikh ka dauraniya
raat ke aakhiri pahar tak mahdud tha
khizaon ki majmui hikmat-e-amali
bahaar shikast khati dikhai di


din ke sae badhne lage
aur phir phul ne khud-kushi ki
jis mein zindagi ki sui nachti hai
wo lamha mar gaya hai


koi qahqaha gunjta hua samaaton pe thappad laga
hansne se wahshat bedar hone lagi
insani aawazon ki gunj se dur bhagti
chanab kinare ret par baithi main


kya likhun
siyahi surkh hai aur
mera kaghaz kai janmon se safed hai
22759 viewsnazmEnglish