mera kamre se bas nindon ka rishta tha aur us zine se khwabon ka jo lahraata hua jata tha chhat tak wo chhat jahan se aasman nazdik tha jahan aaram farmati thin aankhen wo aankhen jin mein sapne the wo sapne jin mein duniya thi wo duniya jis mein sab kuchh tha wahi chhat jahan par ek chidiya ki surili chahchahahat thi patangon ki sajawat thi falak ki jhilmilahat thi magar afsos wo chidiya jo sawere ghar mein sabse pahle uthti thi kise ma'lum tha ek din wo zer-e-dam aaegi patang-e-kaghazi jo aasman chhune hi wali thi kise ma'lum tha wo laut kar nakaam aaegi falak jis par tamannaon ke kitne chand raushan the kise ma'lum tha us par amawas ki bhi koi sham aaegi wo chhat jo ghar ka sabse pur-sukun aur pyara hissa thi kise ma'lum tha wo khud-kushi ke kaam aaegi