mera mazhab

By sumita-misraFebruary 29, 2024
jis se karni thi tauba
wo hi khud-bakhud khuda ban gaya
mere mazhab mein mohabbat ko
kisi bhi surat kufr nahin mante


we andhere bechte rahe
hum ne raushni di be-mol
jaise ko taisa
hamare yahan nek-dili nahin mante


jab kaenat hi sari tohfa hai
phir hod kis se kam bhi kafi hai
khud ko hum har
khushi ka haqdar nahin mante


jhut aur makkari ke paedan chadh ke
bulandi jo pae aise bande ko
mere jahan mein
koi sikandar nahin mante


mushkilon mein ma'ni milte hain apne
aur haqiqat donon ke kinaron pe
khelne ko hum
mulaqat-e-zindagi nahin mante


wo sha'ir meri ruh par jo
likh raha hai wahi shabd hai
baqi kisi nazm ko hum
sha'iri nahin mante


23349 viewsnazmEnglish