mera watan

By rahbar-jaunpuriJuly 12, 2021
jahan ka chappa chappa gulsitan hai
jahan ki sar-zamin rashk-e-jinan hai
tasadduq jis pe husn-e-asman hai
himala jis ki azmat ka nishan hai


jahan ganga jahan jamuna rawan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan rangin hoti hain fazaen
basi rahti hain khushbu mein hawaen


dikhate hain pahad aur ban adaen
jahan jharne ki maujen gungunaen
jahan nadiyon ka pani kaif-e-jaan hai
wahi mera watan hindostan hai


jahan chaupal hain ganw ki zinat
jahan hai panghaton ki qadr-o-qimat
barasti hai jahan kheton pe rahmat
jahan faslen hain khaliyanon ki daulat


jahan pedon ke sae mein aman hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan subh-e-banaras hai misali
awadh ki sham hai sham-e-diwali


jahan hai 'malwa' ki shab nirali
hai rajasthan ki rangat gulabi
jahan dilkash dakan ka har saman hai
wahi mera watan hindostan hai


jahan mazhab ke gahware hain raushan
kalisa aur gurudware hain raushan
masajid aur minare hain raushan
jahan ke but-kade sare hain raushan


jahan sham-e-ibaadat zau-fishan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan fan aur tahziben amar hain
jahan qila-o-qutub lutf-e-nazar hain


jahan taj-o-ajanta jalwa-gar hain
jahan ki khushnuma sham-o-sahar hain
jahan har rah rah-e-kahkashan hai
wahi mera watan hindostan hai


jahan 'ram'-o-'krishn'-o-'laxman' the
jahan mera ke honton par bhajan the
jahan 'sur' aur un ke kirtan the
jahan 'rai-das' bhagti mein magan the


jahan 'tulsi' the ramaen jahan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan khwaja muinuddin aae
nizamuddim jis mein jagmagae


jahan 'ras-khan'-o-'khusrau' gungunae
'kabir'-o-'jaisi' ne naghme gae
jahan 'ghaalib' ki fikr-e-jawedan hai
wahi mera watan hindostan hai


jahan aurat ne ki hai hukmrani
lahu se apne likkhi hai kahani
jahan paida hui 'jhansi' ki rani
hai 'raziya' jis ki azmat ki nishani


sunahri jis ki har ek dastan hai
wahi mera watan hindostan hai
jahan mughalon ne fan se raushni ki
marathon ne jahan tarikh likkhi


jo dharti rajputon ki hai dharti
shujaat jis ko bundelon ne bakhshi
jahan bangal ka azm-e-jawan hai
wahi mera watan hindostan hai


15028 viewsnazmEnglish