mere KHwabon ka hindostan

By prem-lal-shifa-dehlviJanuary 27, 2022
kabhi jab lafz-e-azadi ka sachcha tarjuman hoga
to phir ye hind khwabon ka mere hindostan hoga
ubhar aaega khuddari ka jazba mulk walon ka
faqat isar hoga muddaa in khush-khayalon ka


na hogi chor-bazari na ayyari na makkari
na ye baqi rahegi rishwaton ki garm-bazari
hukumat ka jo dhancha hai badal jaega ye yaksar
ki ikhrajat hain jo aaj-kal ho jaenge kamtar


hukumat mein sabhi ahl-e-hunar ke qadr-dan honge
jo jahil hain wasail se na apne kaamran honge
na itne tax hi honge ki jin se jaan ho dubhar
khushi se tax sab denge bachega is qadr kha kar


mere hindostan ke khet jab dekho hare honge
anaj itna mere khaliyan ghalle se bhare honge
maweshi is qadar honge bahengi dudh ki nahren
masarrat ke samundar mein uthengi har taraf lahren


mashinon ke liye muhtaj honge hum na ghairon ke
zarurat ka har ek saman banega mulk mein apne
suhulat barq-o-telephone ki hogi dehaton mein
sadak har ganw tak ban jaegi pakki dehaton mein


nikal aaenge kafi is zamin se tel ke chashme
na hum muhtaj sone ke rahenge aur na lohe ke
na koi be-padha-likha na koi be-hunar hoga
na auron ke liye be-kar koi dard-e-sar hoga


hamare mulk ko ek markaz-e-talim paenge
yahan talim lene dusre mulkon se aaenge
jo budhe honge aur mohtaj unhen sarkar palegi
yatimon aur bewaon ko sine se laga legi


hukumat aur public ke bhale kirdar agar honge
to mausam aur dariya bhi rahenge thik hi apne
hamare dam ka loha ahal-e-quwwat man jaenge
jo hain kamzor har surat mein hami hum ko paenge


gharaz ye hai wo khwabon ka mere hindostan hoga
na ek chehre pe jis mein fikr-o-wahshat ka nishan hoga
na hogi bhuk ki lanat na bekari na bimari
na hogi be-imani aur na ayyari na ghaddari


shujaat aur jawan-mardi ka putla hoga har insan
mohabbat aur khidmat hoga har insan ka iman
'shifa' mumkin hai aise din na meri zist mein aaen
main wo pauda lagaunga ki naslen jis ka phal khaen


68722 viewsnazmEnglish