ye ganw ka manzar sannata aur sham ki dhundli tariki ek sham bahut rangin magar muflis ki nigahon mein phiki dharti pe ye pani sone ka aakash pe nahren chandi ki ye chand ye tare ye dariya mere liye kya hai kuchh bhi nahin ye shahr ki chalti sadkon par har samt dukanen nurani bijli mein bhi jalta ho jaise iflas ke patte ka pani chizon ki girani mein shamil ghurbat ke lahu ki arzani ye saz ye saman-e-ishrat mere liye kya hai kuchh bhi nahin raaton ke andhere mein jagmag jagmag ye faza mai-khwanon ki mezon pe nazare masti ke bahki hui lai diwanon ki botal ki nawa-e-kulkul mein halki si khunuk paimanon ki ye shisha ye saqi ye sahba mere liye kya hai kuchh bhi nahin sadkon pe hasinon ka tanta jadu ka para chalta phirta sadi ki lapetun se jin ki chhilke hai jawani ki sahba masti ke qadam sambhle sambhle aanchal ka sira dhalka dhalka ye husn-o-jawani rang-o-ada mere liye kya hai kuchh bhi nahin aankhon pe meri ehsas hai kya sabzon pe agar hai barnai kyun puchhne jaun kyari mein phulon ka mizaj-e-ranai kya kaam hai mujh ko gulshan se kaliyan ho khili ya murjhai ye phul ye shabnam sher-o-faza mere liye kya hai kuchh bhi nahin collage ki ye tamir-e-khandan mamnun ghamon lam nahin is mein kisi muflis ke ghar ke ghamgin pisar ka nam nahin saman-e-tijarat hai ye bhi saman-e-mafad-e-am nahin ye ilm ye hikmat hosh-ruba mere liye kya hai kuchh bhi nahin be-jaan ho jab naqsh-e-hasti taswir-e-tamanna kya bole taraj ke khuni panje mein tahzib ki mina kya bole chilon ke najasat khane mein bechaara papiha kya bole ye naghma ye sher-o-saz-o-nawa mere liye kya hai kuchh bhi nahin