kash hasil ho haqiqi zindagi ka ek din sarkhushi ka ek lamha ya khushi ka ek din kar diya hai shorish-e-alam ne diwana mujhe hai bisat-e-dahr wahshat-nak virana mujhe ek nai duniya ki khilqat hai meri takhil mein jo muawin ho sake insan ki takmil mein ehtimam-e-zindagi jis mein ba-taur-e-khas ho aasman jis ka mohabbat ho zamin ikhlas ho kirshn ki aaj yaad-e-rafta mahfil-e-zinda karo brij-o-gokul ki bujhi shamon ko tabinda karo khushki-e-gang-o-jaman ki aabiyari ke liye dawaten do gopiyon ko rang-bari ke liye az-sar-e-nau phir murattab ho jahan-e-rang-o-bu khar-o-khas se phir ho paida kar-khane rang-o-bu prem-ras se lao bhar kar khushnuma pichkariyan hon nai daman-e-hasti par latafat-bariyan ruh ki aawaz hum aaenge saz-o-chang ho jo pade insan pe wo insaniyat ka rang ho chahta hun yun ho rangin pairahan aur sariyan shust-o-shu se bhi na zail ho saken gul-kariyan jism ki surat rahe dil bhi masarrat mein sharik ruh-e-azadi bhi ho jae haqiqat mein sharik chahta hun gulshan-e-kohna par aa jae shabab tinka tinka phul ho aur patta patta aaftab tazgi wajh-e-shaguft-e-khatir-e-alam rahe meri duniya mein hamesha ek hi mausam rahe shair-o-sannaa ho fikr-o-khalish se be-niyaz khwaja-o-mazdur mein baqi na ho kuchh imtiyaz irtiqa ke rang se labrez jholi ho meri inqilab aisa koi aae to holi ho meri