manzar-o-marsiya-o-razm-o-sarapa kya kya na likha mir-anis aap ne tanha kya kya nazm mein hoti hai kirdar-nigari kyun kar aap dikhla gae hum logon ko rasta kya kya aur jazbaat-nigari ki taraf rukh jo kiya rakh diya khinch ke qirtas pe naqsha kya kya aap ki laundi fasahat bhi balaghat bhi hui roz-marra se kalam apna sajaya kya kya marsiya-goi bani muqtadir ek sinf-e-sukhan yani is fan ko mila aap se rutba kya kya fan tasadduq hua wari gaya andaz-e-bayan aap ne likkhe shahidon ke sarapa kya kya kis kis andaz se tahrir kiya haal-e-sitam gham kiya aap ne shah-e-shohda ka kya kya razm tahrir kiya yun ki jahan kanp utha marsiya likh ke zamane ko rulaya kya kya jang-e-abbas-e-dilawar ka bayan padhte hue samne aankhon ke lahraata hai dariya kya kya jaise khud bhi rahe hon shamil-e-fauj-e-shabbir haal is jang ka duniya ko sunaya kya kya sahibo ye hai mere ghar ki zaban kahte hue bazm ko aap ne bakhsha hai ujala kya kya aalami sher-o-adab mein hui urdu bhi sharik aap ne zor-e-kalam apna dikhaya kya kya mir-anis aap ke faizan-e-karam se hum ko aa gaya nazm-nigari ka saliqa kya kya na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib 'nazish' aghyar ne yun zor to mara kya kya