mere ghar ki diwar par ahd-e-rafta ke rangin afsane saje hain mere ajdad ki hijraten apni yaadon ke khwabon ke hamrah khadi hain magar main to us daur ka aaina hun jahan khwab bante hain kam aur bikharte bahut hain jahan log bas ahd-e-rafta mein jine ka gur jaante hain main basi hun us ganw ka jis ke rakhe khud apne gwalon ke ghar lutte hain jahan kheton mein azabon ki faslen kati hain main ab mud ke dekhun