andheri raat mein jab muskura uthte hain sayyare tarannum phut padta hai mere saz-e-rag-e-jaan se koi angdaiyan leta jab aa jata hai mahfil mein tamanna karwaten leti hai paiham dukh-bhare dil mein nigahen baada-e-rukh se khumar-amez hoti hain sharabi ki tarah jab jhumti hain ishq ki nabzen koi 'tagore' ke jab mithe mithe git gata hai moallim goete ka falsafa jis dam sunata hai tere ashaar padhta hun tere naghmat gata hun kamal-e-kaif-o-fart-e-be-khudi mein jhum jata hun