miTTi

By ravendr-jainFebruary 1, 2022
jis jagah ki ho bewafa mitti
us jagah se meri utha mitti
ek din khud-ba-khud ye hona hai
to tu mitti mein mat mila mitti


jaane kis kis tarah mile bichhde
aag pani falak hawa mitti
rang aur nasl ki tamiz ghalat
aadmi asl mein hai kya mitti


hum sada jaan pe khel jate hain
hum ko deti hai jab sada mitti
sajda karne ko dil tarasta hai
la watan ki watan se la mitti


kaisi murda-parast hai duniya
mar ke pati hai martaba mitti
sab pe haq us ka sab pe qarz us ka
jaane kab kis ko le bula mitti


roti hansti hai chalti phirti hai
kitne rangon mein ja-ba-ja mitti
raundta hai kumhaar mitti ko
us ko raundegi dekhna mitti


jis ko hum ne aziz-tar jaana
sab se pahle wo de gaya mitti
apne andar chhupae baithi hai
sari duniya ka falsafa mitti


ye kahin par hai dher be-mani
aur kahin par hai kimiya mitti
21379 viewsnazmEnglish