haq baat hai is daur mein takhrib-pasandi baatil ki sataish mein hai insan ki bulandi taid-e-sitam shewa-e-arbab-e-hunar hai zindan-o-rasan martaba-e-ahl-e-nazar hai mujrim hain jo zulmat ko ujala nahin kahte maqtal ko mohabbat ka shiwala nahin kahte aazadi-e-afkar ki shamen na jalao aaraish-e-zindan ke liye khun bahao izhaar-e-karam khauf ke phulon se kiya jae raushan rah-e-hasti ko bagulon se kiya jae aain-e-chaman zulm-o-sitam ka hai nigahban insaf hai khush-fahmi-e-ehsas pe khandan har ahl-e-hawas laeq-e-inam-o-karam hai danishwar-o-fankar sana-khwan-e-sitam hai hubb-ul-watani jafar-o-sadiq ki hai jagir tipu ka lahu bechne walon ki hai tauqir zanjir-e-giran qismat-e-sahib-nazaran hai zahrab-ba-kaf aaj bhi suqraat-e-jahan hai