yahi meri khwab-gah-e-ishrat yahi hai mera nigar-khana dhuen ki rangin badliyon mein paka rahi hai jahan wo khana yahin andheron se mil ke hum chandni ke chhakke chhuda rahe hain yahin hamara sila muqarrar hua hai adbar-e-jawedana yahin use gili lakdiyon ne khushi ke aansu bahate dekha yahin use rakh ki tahon ne bana diya ghair shairana yahin meri sakht-jaan ghairat ye barha sun chuki hai ab tak abe teri muflisi ke charche sune the main ne to ghaebana yahin wo jaan-e-wafa meri aarzu ki ranginiyon ki khatir chhidak ke baalon mein itr-e-andesha karti rahti hai in mein shana agar nahusat ki jaan hai wo to banda iman-e-muflisi hai isi liye ek dusre se hamein mohabbat hai walihana ilahi teri inayaton ka ye ek adna sa hai karishma hamare iflas-e-be-karan ka jo aaj hai mo'tarif zamana wo us ka jade ki sard raaton mein mujh se indhan ki baat karna ki jaise ye chiz mawarai ho ya alif-lailwi fasana tawil faqon ke baad donon ka pich pi kar wo jhum uthna wo us ki sharmili si nigahen wo mere jazbaat-e-ashiqana khushi mein sari khudai mein half-day manaya gaya tha us din wajud mein aa gaya tha jis din hamari ulfat ka shakhsana