mujhe kya mila

By sumita-misraFebruary 29, 2024
main mera nahin
phir bhi wish ka pyala
main ne piya
tumhaare liye


mera ko mile kanha
aur un ki lila
mujhe kya mila
main sita nahin


phir bhi be-qusur agni-pariksha
mein main jali
tumhaare liye
sita ko mila kshanik


rajpat aur mukti
mujhe kya mila
main anusuiya nahin
phir bhi har kasauti


main ne uthai
tumhaare liye
anusuiya ko mili ishwariy
aur jag-prashansa


mujhe kya mila
main sawitri nahin
phir bhi bhagye se kal se
main ladi tumhaare liye


sawitri ko mila prem
aur satitw
mujhe kya mila
main parwati nahin


phir bhi nishthur tyag
mein main tapi
tumhaare liye
parwati ko mile shiw


aur akhand bhog
mujhe kya mila
naritw ki ye kathaen
hain pinjre


tumhaare diye
kisi bhi yug mein
aadarshon ki mithya mein
samaj ke chakrwyuh mein


jiwan janani
ko kya mila
29009 viewsnazmEnglish