meri nakaam mohabbat ki kahani mat chhed apni mayus umangon ka fasana na suna zindagi talkh sahi zahr sahi sam hi sahi dard o aazar sahi jabr sahi gham hi sahi lekin is dard-o-gham o jabr ki wusat ko to dekh zulm ki chhanw mein dam todti khilqat ko to dekh apni mayus umangon ka fasana na suna meri nakaam mohabbat ki kahani mat chhed jalsa-gahon mein ye dahshat-zada sahme amboh rahguzaron pe falakat-zada logon ke giroh bhuk aur pyas se pazh-murda siyah-fam zamin tira-o-tar makan muflis o bimar makin nau-e-insan mein ye sarmaya o mehnat ka tazad amn o tahzib ke parcham tale qaumon ka fasad har taraf aatish o aahan ka ye sailab-e-azim nit-nae tarz pe hoti hui duniya taqsim lahlahate hue kheton pe jawani ka saman aur dahqan ke chhappar mein na batti na dhuan ye falak-bos milen dilkash o simin bazar ye ghalazat pe jhapatte hue bhuke nadar dur sahil pe wo shaffaf makanon ki qatar sarsaraate hue pardon mein simatte gulzar dar-o-diwar pe anwar ka sailab-e-rawan jaise ek shaer-e-madhosh ke khwabon ka jahan ye sabhi kyun hai ye kya hai mujhe kuchh sochne de kaun insan ka khuda hai mujhe kuchh sochne de apni mayus umangon ka fasana na suna meri nakaam mohabbat ki kahani mat chhed