ye raat us dard ka shajar hai jo mujh se tujh se azim-tar hai azim-tar hai ki is ki shakhon mein lakh mishal-ba-kaf sitaron ke karwan ghar ke kho gae hain hazar mahtab is ke sae mein apna sab nur ro gae hain the meeting a tree born of pain, this night, greater in glory than you and i. ye raat us dard ka shajar hai jo mujh se tujh se azim-tar hai magar isi raat ke shajar se ye chand lamhon ke zard patte greater in splendour, for torch-bearing caravans of myriad stars trapped in its branches, have vanished moons, in thousands, in its darkness surrendered their brilliance. gire hain aur tere gesuon mein ulajh ke gulnar ho gae hain isi ki shabnam se khamushi ke ye chand qatre teri jabin par baras ke hire piro gae hain 2 bahut siyah hai ye raat lekin isi siyahi mein runuma hai wo nahr-e-khun jo meri sada hai isi ke sae mein nur gar hai wo mauj-e-zar jo teri nazar hai from this glorious night: a tree born of pain, a few moments: its yellowed leaves, caught in your tresses are a burning scarlet, its silence: the dewdrops on your brow, a diamond string. wo gham jo is waqt teri banhon ke gulsitan mein sulag raha hai wo gham jo is raat ka samar hai kuchh aur tap jae apni aahon ki aanch mein to yahi sharar hai (2) pitch dark is this night but in the darkness dazzles the blood-river that is my voice, your eyes: a sparkling gold, create light. har ek siyah shakh ki kaman se jigar mein tute hain tir jitne jigar se noche hain aur har ek ka hum ne tesha bana liya hai 3 alam-nasibon jigar-figaron ki subh aflak par nahin hai jahan pe hum tum khade hain donon sahar ka raushan ufuq yahin hai yahin pe gham ke sharar khil kar shafaq ka gulzar ban gae hain yahin pe qatil dukhon ke teshe qatar andar qatar kirnon ke aatishin haar ban gae hain ye gham jo is raat ne diya hai ye gham sahar ka yaqin bana hai yaqin jo gham se karim-tar hai sahar jo shab se azim-tar hai the pain that seethes in your verdant arms: the fruit of this night, swelled by its own agony, can fuel into a spark, a blaze.