munafiq shair

By prem-lal-shifa-dehlviJanuary 27, 2022
main munafiq hun har ek ka dost ban jata hun main
dost ban kar doston mein phut dalwata hun main
intiha ki chid hai mujh ko do dilon ke qurb se
dekhta hun jab ye fauran jal phailata hun main


main burai ram ki karta hun ja kar sham se
sham ne jo kuchh kaha wo ram tak lata hun main
pith pichhe sab ko deta hun mughallaz galiyan
samne lekin adab se sar ke bal jata hun main


halqa-e-ahl-e-sukhan mein jo meri tauqir hai
chhin na jae har nae shair se ghabraata hun main
mujh ko apni shaeri par kis tarah ho e'timad
khud to kam kahta hun auron se kahalwata hun main


dad dene ke liye rakhta hun kuchh ahbab sath
sher un ke waste bhi mang kar lata hun main
bazm mein padhta hun main nathune phula kar chikh kar
aur is se peshtar taqrir farmata hun main


ye samajhta hun ki koi sher khud kahta nahin
ye khabar har ek ke bare mein phailata hun main
aur koi sher kah leta hai achchha bhi agar
kal ka launda kah ke khatir mein nahin lata hun main


khud to na-mauzun bhi kah leta hun mauzun bhi magar
dusre ke sher par tanqid farmata hun main
shaeri se wasta mujh ko na urdu se gharaz
sirf shohrat ke liye un se ulajh jata hun main


kuchh buzurgon se mujhe bhi qurb hasil tha kabhi
nam ho un se mera yun un ke gun gata hun main
zikr karta hun purani sohbaton ka bar bar
aur daur-e-haal ko mazi se thukraata hun main


bawajud is ke agar hoti nahin shohrat nasib
galiyan deta hun sab ko baukhla jata hun main
jis se main waqif hun wo shohrat mein aage badh gaya
dekh kar us ko bahut kudhta hun bal khata hun main


jaanta hi kaun tha mashhur main ne kar diya
bas yahi kah kah ke apne dil ko samajhta hun main
ilm-o-fan ki chand baaten jo mujhe malum hain
dad pane ke liye har bar dohraata hun main


dad deni ho to yun deta hun ek ek lafz par
lafz pura bhi nahin hota phadak jata hun main
kuchh na the ashaar munh dekhe ki di thi main ne dad
waqt-e-ghibat dad ki tardid farmata hun main


jab kisi bazm-e-sukhan mein sher padhta hai koi
ek taraf baitha hua tashih farmata hun main
sath walon par yun karta hun fazilat aashkar
ho na ho har sher mein kuchh aib ginwata hun main


ya kabhi phir dad deta hun ba-awaz-e-duhal
sath walon ki taraf phir aankh michkata hun main
samne jab tak rahun main hun ghulamon ka ghulam
aasman se warna tare tod kar lata hun main


jo nahin late hain khatir mein khushamad ko meri
wo jhidak dete hain mujh ko un se ghabraata hun main
ya samajh jate hain jo in mere hathkandon ka raaz
samne aate hue un ke bhi katraata hun main


kamtari ka hai 'shifa' ehsas in sab ka sabab
dushmani auron ke dil mein to nahin pata hun main
56173 viewsnazmEnglish