musafir thahar ja ab tere hisse ka safar tai ho chuka hai dhup aur barish lapeti ja chuki hai ab safar kaisa ki jab rasta lapeta ja chuka hai jab raftar ka har pal sameta ja chuka hai musafir thahar ja ab ki tujh ko rukne ka ishaara ho chuka hai safar pura hua tujh ko sanwara ja chuka hai