muskuraata hai kanwal
By sadaf-jafriApril 3, 2021
aaj mana
dard-e-dil behad bada hai
raat ko shikwa hai din se
subh ka gham bhi siwa hai
tum magar itna to socho
zindagi kab
ek jaise raste par
chal saki hai jo chalegi
aabdida manzaron se
qahqahe bhi phutte hain
aur zamin ko
jhuk ke unche
aasman bhi chumte hain
ek zara ruk kar to dekho
hausla kar ke to dekho
kis qadar kichad mein rah kar
muskuraata hai kanwal
dard-e-dil behad bada hai
raat ko shikwa hai din se
subh ka gham bhi siwa hai
tum magar itna to socho
zindagi kab
ek jaise raste par
chal saki hai jo chalegi
aabdida manzaron se
qahqahe bhi phutte hain
aur zamin ko
jhuk ke unche
aasman bhi chumte hain
ek zara ruk kar to dekho
hausla kar ke to dekho
kis qadar kichad mein rah kar
muskuraata hai kanwal
92762 viewsnazm • English