na tum qarib aao

By bano-tahira-sayeedJanuary 2, 2024
mere khayal pe jaise ki chha gae ho tum
dil-o-nigah mein goya sama gae ho tum
ek ajnabi ho magar pas aa gae ho tum
na jaane kaun sa jadu jaga gae ho tum


khuda ke waste itna na tum qarib aao
tumhaari sanwli surat mein sham-e-hijran hai
udas aankhon mein kuchh wahshat-e-ghazalan hai
labon pe shikwa-e-khamosh ranj-e-dauran hai


qarib-e-dil mere jaise koi ghazal-khwan hai
khuda ke waste itna na tum qarib aao
main khud hun aabla-pa kam-nasib khak-basar
hai meri bazm farozan ba-faiz-e-dagh-e-jigar


bhala kahan main kahan fursat-e-fareb-e-nazar
hai phir bhi khwahish-e-didar aur dida-e-tar
khuda ke waste itna na tum qarib aao
ye qurb-e-ruh bhi kitna 'ajab mu'amma hai


sukun-e-dil bhi hai aur dard-e-be-mudawa hai
kisi janam ki mohabbat ka kya ye tohfa hai
ki khwab mein bhi zaban par tumhaara qissa hai
khuda ke waste itna na tum qarib aao


84410 viewsnazmEnglish