zardar namazi eid ke din kapdon mein chamakte jate hain nadar musalman masjid mein jate bhi hui sharmate hain malbus pareshan dil ghamgin iflas ke nashtar khate hain masjid ke farishte insan ko insan se kamtar pate hain quran se dhuan sa uthta hai iman ka sar jhuk jata hai tasbih se uthte hain shoale sajdon ko pasina aata hai wo wasta jis ko faqon roze roze be-bechaara kya rakkhe din dekh chuka shab dekh chuka qismat ka sahaara kya rakhe khali hon lahu se jis ki ragen wo dil ka sharara kya rakkhe iman ki lazzat din ka bharam iflas ka mara kya rakkhe tarik dikhai deti hai duniya ye mah-o-khurshid use rozi ka sahaara ho jis din wo roz hai roz-e-eid use ek madar-e-muflis eid ke din bachchon ko liye bahlati hai sar un ka kabhi sahlati hai narmi se kabhi samjhati hai qismat pe kabhi jhunjhlati hai jine se kabhi tang aati hai zardar padosan khush ho kar sab dekhti hai aur khati hai paise ka pujari duniyan mein sach puchho to insan ho na saka daulat kabhi iman la na saki sarmaya musalman ho na saka nau-khez dulhan aur eid ka din kapdon se numayan bad-hali kumhlae hue se ghunche-tar murjhai hui si hariyali sukha hua chehra ghurbat se utri hui honton ki lali mayus nazar tuta hua dil aur hath bhi paise se khali shauhar ki nazar hasrat se bhari uthti hai to khud jhuk jati hai ehsas-e-mohabbat ki duniyan us manzar se tharraati hai khun chus raha hai paudon ka ek phul jo khandan hota hai pamal bana kar sabzon ko ek sarw kharama hota hai charbi mil kar insanon ki ek chehra darakhshan hota hai ye eid ke jalwe bante hain jab khun-e-ghariban hota hai muflis ki jawani eid ke din jab subh se aahen bharti hai duniya ye amiron ki duniya tab eid ki khushiyan karti hai