ye gandagi hai kaisi aai hai ye kahan se shahron ki ye ghalazat aai hai kaise bah ke dam ghut raha hai mera badbu hai jaan lewa girta hai mujh mein aa ke shahron ka ganda nala pakiza mujh ko kar do kar ke meri safai mera bhi faeda hai insan ki bhi bhalai tum mujh ko saf rakh ke khud bhi sukhi rahoge pani jo saf hoga bimari se bachoge fariyaad be-nawa ki sunta nahin hai koi samjhe jo mere dukh ko aisa nahin hai koi is gandagi se logo jaldi mujhe nikalo ye nek kaam kar ke mahaul ko bacha lo