lapakta surkh imkan jo mujhe aainda ki dahliz par la kar khada karne ki khwahish mein machalta hai mere hathon ko chhu kar mujh se kahta hai tumhaari ungliyon mein khun kam kyun hai tumhaare nakhunon mein zardiyan kis ne sajai hain kalai se nikalti haddiyon par un kam kyun hai main us se na-tawan si ek sada mein puchhta hun is se pahle tum kahan the is se pahle bhi yahi sari zaminen thin yahi sab aasman the aur meri aankh mein nile hare ke darmiyan ek rang shayad aur bhi tha ab mere andar na jhanko mere baatin mein musalsal tairti hai unghti duniya sarabon ki nafi sare hisabon ki