nai aurat ka tarana

han darwaze par chadhi kundi utar li gai hai
magar darwazon ko kholne ke liye

khud hi chal kar jaana hoga
aankhon ki patti khol diye jaane par bhi

binai ko nigah ki aadat dhire dhire hi padti hai
honton par lagi mohren hat jaane par bhi

bolne ke liye zaban ko alfaz ki mashq karani hoti hai
aazad to dimagh ko hona hai

sirf jism ki aazadi koi mani nahin rakhti
sar ki chadar se apni barahnagi apne hathon dhakni hogi

sar par taj hai aur pairon mein bediyan
kya ajib nahin lagta

zina se le kar aadhi gawahi tak
be-shak ye charge-sheet bahut lambi hai

lekin mujhe is ke bare mein sochne ki
na fursat hai na zarurat

waise bhi ye charge-sheet meri adam-maujudgi mein tayyar ki gai thi
dushnam mile ya inam mujhe is se koi farq nahin padta

mujhe to apne aazad hathon se apne pairon ki bediyan hata kar
is malgaje andhere ko apni palkon se bator kar

kinare lagana hai
darwaze tak jaana hai

ki in band patton se bahar ek khuli faza
mera intizar kar rahi hai

jahan main kam-az-kam aazadi se sans to le sakungi
han main shahr mein dakhil hone wali pahli aurat hun

kahin bhi pahunchne ke liye uthaya hua
pahla qadam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close