nai sadi tujhe shair salam kahta hai

By nazir-fatehpuriMay 13, 2022
ba-sad-khulus ba-sad-ehtiram kahta hai
nai sadi tujhe shair salam kahta hai
tujhe khabar hi nahin hai to main ye batla dun
taras raha hai abhi aadmi khushi ke liye


dil-o-nazar pe andheron ka raj hai phir bhi
bashar ne yun to jalae hain aagahi ke diye
har ek dil se andheron ko tu mita dena
mohabbaton ke diye har taraf jala dena


nai sadi tujhe shair salam kahta hai
nai sadi tu hamein aisa aaina de de
hum apne chehre ke daghon ko khud hi pahchanen
parae aibon pe ungli uthane se pahle


hum apne apne gareban mein jhank kar dekhen
khud-ehtisabi ka jazba hamein mayassar ho
hamari nazron mein achchhaiyon ka manzar ho
nai sadi tujhe shair salam kahta hai


salib-o-dar pe sachchaiyon ki lashen hain
labon pe khauf ke tale lage hain logon ke
ye kaisa khauf hai chhaya hua har ek jaanib
sanbhal sanbhal ke qadam uth rahe hain logon ke


ab is muhib se ehsas ko hata dena
dilon pe tari hai jo khauf use mita dena
nai sadi tujhe shair salam kahta hai
gai sadi ne to kya kya zalil-o-khwar kiya


jo be-gunah the un ko bhi sangsar kiya
khuda qubul kare amn ki duaon ko
zamin pe khauf ke baadal na ab kabhi chhaen
na koi aag lage barf ke pahadon mein


khizaon se na gulistan ke phul murjhaen
nai sadi naya mausam nai hawa dena
mohabbaton ke chaman har taraf khila dena
nai sadi tujhe shair salam kahta hai


24046 viewsnazmEnglish