dukhte hue sinon ki khushbu ke hathon mein un jalte khwabon ke lahraate kode hain jinhen wo ek gahnae chand ki nangi kamar pe barsati rahti hai tirgi badhti jati hai aur hamara chand abhi tak aisi kohna-sal haweli ka qaidi hai jise hawa aur baadal ne tamir kiya hai jis ki gili diwaron par mandhi hui belon mein aisi khopdiyan khilti hain jin ki aankhon ke khali halqon mein mazi haal aur mustaqbil ke gad-mad rangon ke be-nur dhundalke jame hue hain tum hi batao jab shakhon se fakhati nile phulon ki bajae khopdiyan phuten subh-e-bahaar ka suraj un se aankh mila kar kaise zinda rah sakta hai isi liye to is viran haweli ke aangan mein khizan ke naghme zinda insanon ke nauhe ban kar gunjte hain nam-alud faza ke nadida sine par sabr ki sil ki tarah ruke hue barfile suraj sham ki ukhdi hui chaukhat par apne sar ghutnon mein chhupa kar sochte hain kabhi to sadiyon ki aawargiyon ka bojh uthae koi musafir ism-e-rihai ko zer-e-lab dohraate hue is be-rang haweli ke darwaze par wo dastak dene aaega khul kar barish barsegi aur chand riha ho jaega