nanak

By allama-iqbalJanuary 29, 2021
qaum ne paigham-e-gautam ki zara parwa na ki
qadr pahchani na apne gauhar-e-yak-dana ki
aah bad-qismat rahe aawaz-e-haq se be-khabar
ghafil apne phal ki shirini se hota hai shajar


aashkar us ne kiya jo zindagi ka raaz tha
hind ko lekin khayali falsafa par naz tha
sham-e-haq se jo munawwar ho ye wo mahfil na thi
barish-e-rahmat hui lekin zamin qabil na thi


aah shudar ke liye hindostan gham-khana hai
dard-e-insani se is basti ka dil begana hai
barhaman sarshaar hai ab tak mai-e-pindar mein
sham-e-gautam jal rahi hai mahfil-e-aghyar mein


but-kada phir baad muddat ke magar raushan hua
nur-e-ibrahim se aazar ka ghar raushan hua
phir uthi aakhir sada tauhid ki punjab se
hind ko ek mard-e-kaamil ne jagaya khwab se


44415 viewsnazmEnglish