nanhe paTelu ki shaiKHiyan

By nishat-kishtwadiApril 7, 2023
sunata hun tumhein ai bhaiyo main
ki andar mere kya jauhar chhupe hain
bahadur hun main duniya mein akela
mera madd-e-muqabil kaun hoga


pahalwan mujh se har ek dar gaya hai
meri taqat ka sikka chal raha hai
agar rustam bhi mera nam sun le
to mare khauf ke bahar na nikle


agar main jang ke maidan mein jaun
to sari makkhiyon ke sar udaun
agar aaegi billi samne to
do-latta mar ke chhodunga us ko


jo chidiya hath aa jae kahin se
to sar us ka juda kar dun chhuri se
zahe-qismat diya murghi ne anda
to main ne us ko toda le ke danda


agar machchhar ko mukka ek marun
to fauran khak mein us ko mila dun
kaho to murgh ki gardan marodun
na hargiz wo kahega kukdun kukdun


gharaz mujh mein hai taqat itni bhaari
samajh mein jo na aaegi tumhaari
48207 viewsnazmEnglish