tasawwur karo din ke khwabon ke barbaad lamhon ka jab suli chadhi us ka sar aasman par tha qadmon mein sari zamin hath phaile hue munh khula jibh bahar latakti hui mujhe kya khabar thi ki yun chand thak jaega tasawwur karo us ghadi main jahan tha wahan mera saya na tha main use dhundhta sat rangon ke dariya ki jaanib chala mujhe kya khabar thi ki patal mein wo na tha har taraf nag the ifrit ke hath mein ek talwar thi phir wo talwar ki dhaar thi aur mera gala tasawwur karo phir wahan mera saya tha aur main na tha