purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai wo jab paida hue un ke qabile ne kai raaten mubarak saaton ke jashn mein katin khuda ki bartari ke git gae aur ghulamon bandiyon ko qaid se aazad kar dala kai din un ke kheme chikhti khushiyon ka gahwara rahe un ke buzurgon ne gharibon aur mohtajon ko jins be-baha banti bahut se jaanwar zabh kiye sare qabile ne kai din tak kuon se dol khinche rah-giron ki duaen lin wo sab nau-zaidon ko god mein le kar rajaz gate salaf ke karnamon ka bayan karte wo jab paida hue farkhanda talea the magar ek din nasab-zadon ne apne astabal khole saba-raftar ghodon ke badan par chabuken marin hawa ke dosh par neze uchhaale nek tinat taifon ki bastiyan taraj kar aae wo pahli raat thi un ke qabile ki koi aurat nasab-bardar apne shauharon ki god mein aa kar nahin soi