kis naz kis ada se nasim-e-sahar chali bu ki tarah rawan hui misl-e-nazar chali baghon ka rukh kiya to giraati samar chali shabnam ki pattiyon ko lutati guhar chali phulon ke jam baada-e-masti se bhar chali ahl-e-chaman ko khwab se bedar kar chali ru-e-chaman ko dekh ke zinat machal padi sabze ko chhed-chhad ke lahra ke chal padi takhte gulon ke chashm-e-zadan mein khila chali khushbu ke aur shamim ke dariya baha chali sajde mein shukr ke liye shakhen jhuka chali chidiyon ko shakh shakh pe jhula jhula chali patton ko ladkhadati hui ja-ba-ja chali bazm-e-tarab ka rang chaman mein jama chali sumbul ko zulf-e-naz ko suljha ke chal padi daman ko khar khar se uljha ke chal padi