naT-khaT chand

By abdur-rahim-nashtarFebruary 3, 2021
ek zara sa chamka tha
abhi yahin tha kidhar gaya
zara jhalak dikhlai thi
ek shua lahrai thi


masjid ke minaron se
aangan se galiyaron se
kuchh logon ne dekha tha
kya wo aankh ka dhoka tha


pal bhar samne aaya tha
bijli sa lahraya tha
dur shafaq ki lali mein
kadwe nim ki dali mein


hare bhare patton ke bich
phulon aur phalon ke bich
abba jaan ne dekha tha
ammi jaan ne socha tha


dekhe un ka beta bhi
chand ke jaisa bachcha bhi
lekin nat-khat id ka chand
kaisa jhat-pat id ka chand


ujle gadle baadal mein
sham ke maile aanchal mein
mujh se chhup kar baitha hai
shayad mujh se darta hai


13888 viewsnazmEnglish