nawa-e-paira-e-kar-gah-e-shisha-gari

By shafiq-fatima-shoraNovember 18, 2020
tilism-e-saut jis ka nam tha phir wo gupha aai
thakan ki nind jaisi gungunati jhumti
thandi hawa aai
jahan-e-shor-o-shar lekin


kisi ko chain se kab sone deta hai
sadaen kitni unmal
ek la-yani tasalsul mein
tarane ishtihaari chahchahe qawwaliyan


aqwal-e-zarrin dialogue ashaar na-mauzun
pukaren manjhiyon ke git
phir sattyam sharan singham sharan dhammam sharan mein
ja raha hun mein


surile shor ka rath ban kahta hai
wo nairang mazahir ka khula showcase
sota rah gaya kaise
tabhi bedar suna manch be-saman-o-guman


ek dur ki aawaz se gunja
kisi goshe se ek nau-umr khush-ilhan qari ki sada aai
sunaya ja raha tha yusuf-e-siddiq ka qissa
gudaz-e-jawedan mein


an-likhi jatak kathaon ke
wuhush-o-tair
lataen megh-dut ashjar
ye insan bhi ajab hai


zamanon se use hum
jaante pahchante hain
raaz-e-sar-basta magar us ka
wahi jaane jo hai taswir-gar us ka


sadaqat hi ka sara khel hai bhayya
isi se ek zarra ru-kash-o-mehr-o-mah-o-akhtar
sadaqat jine marne tutne judne ulajhne dar guzarne ki
kahan hai


huwaida ek lauh-e-sang jis par
ubhar aae wo aiwan-e-madain ke khandar aaina-e-ibrat
kahan ki khusrawi aazadgi sarmasti-o-shokhi
wahi andha kuan khannas sautele rawayya ka


guzarte qafilon ki aahaton se dur
jaras ki bang se mahjur
nahin ye zyaadti hai hosh mein aao
koi yun kufr bikta hai


idhar dekho
hawa zindan ki kya hai kya bana deti hai insan ko
agar zindan ho qazzaqon uthai ghairon ka maskan
wo zindan aur hai lekin


nasheman-gir arbab-e-himam jis mein
wahi to khub-tar mahbub-tar us ki nigahon mein hai
aise jashn-e-dawat khwan-e-neamat hai
jahan us ki tulua subh-e-sadiq si numud


ek aaj ka mohara
bisat-e-bazm ki raunaq
salakhon mein muqaffal ya salakhon par
khuli duniya mein jo aisa mubarra


muasir illaton se
zahir-o-baatin salamat hai
wahi la-raib dara-e-karamat hai nawa-paira
99002 viewsnazmEnglish