nawa-e-sarosh

By komal-rajaSeptember 23, 2023
mere dil ke kharabe mein
ek jahannum hai
jis mein jhut phailane walon ko
bina saza sunae hi dhakel diya jata hai


ki mere dil ke maidan mein koi roz-e-mahshar nahin lagega
na koi hisab hoga na koi kitab
na tumhaari apni neki tumhaare kaam aa sakti hai
na kisi aur ki du'a tumhein bacha sakti hai


apni khudi ki khuda main khud hun
mere jahan-e-man ka har faya-kun
mujh fard-e-junun ke kun se nikalta hai
mere nizam-e-shakhsi mein har sayyara-o-sitara


mujh fard-e-wahid ke hukm par chalta hai
mere wajud ke kaun-o-makan ka
koi agla jahan nahin
meri khirad ki fasilon par


kisi an-dekhi duniya ka guman nahin
mere nizam-e-shakhsi ki kashish-e-siql ka nam
sach hai
aur sachchai mein her-pher karne walon ka thikana


maut hai
wo maut jis ke ba'd dubara zinda hone ka imkan to kya
guman bhi mumkin nahin
aur zindagi


zindagi mere jahan ki wo ne'mat hai
jise tum chah kar bhi jhutla nahin sakte
ki mere jahan-e-man mein
ek tumhaari chahat hai


aur ek meri
tum chahte ho wo ho jo tumhaari chahat hai
magar hoga wahi jo meri chahat hai
ki mere dil ke jangal ka koi patta bhi


mere hukm ke baghair nahin hilta
82228 viewsnazmEnglish