udasi ke aangan mein mahrumiyon ke gulabon ki khushbu meri sans ke raston se guzar kar garm lawe ki surat ragon mein bahi ja rahi hai mujhe ghar ki diwar-o-dar mein ummidon ki parchhaiyon ka wo nauha nazar aa raha hai jo saut-o-sada ki muqayyad faza se nikal kar mujassam hua ja raha hai raat ki sab siyahi meri aankh se mere jism-o-jaan mein utarti chali ja rahi hai ek khala mere andar huwaida hua hai main is kaifiyat ka maza le raha hun jise kaenat aafrinash ke lamhon mein mahsus karti rahi hai harf saut-o-sada lafz mani ki gahraiyon se muzayyan nahin hain abhi nam se kaam se aur anjam se mujh mein takhliq hoti hui koi shai se mere andar ka aadam shanasa nahin hai magar kya ye kam hai mujhe aagahi ne naya ek janam de diya hai