ajnabi jaan ke ek shakhs ne yun mujh se kaha wo makan nim ka wo ped khada hai jis mein khidkiyan jis ki kai sal se lab-basta hain jis ke darwaze ki zanjir ko hasrat hi rahi koi aae to wo hathon mein machal ke rah jae shor-e-be-rabti-e-ahang mein dhal ke rah jae wo makan jis ke dar-o-baam kai salon se muntazir hain, koi mahtab-sifat shahzada un ka har gosha-e-tarik munawwar kar de log kahte hain yahan raat ke sannate mein kuchh ajab tarah ki aawazen hua karti hain chudiyan paelen pazeben baja karti hain ek aawaz ki tum ne to mujhe chaha tha ek aawaz ki tum ahd-e-wafa bhul gae ek siski ki mera saghar-e-jam tut gaya ek nala ki mera mujh se sanam chhut gaya log kahte hain kai sal hue is ghar mein khub-surat sa koi shakhs raha karta tha chandni raaton mein ashaar kaha karta tha khub-ruwon ne use jaan-e-wafa jaana tha jaane kis kis ne use apna khuda mana tha log kahte hain ki ek raat ke sannate mein ek pari aai idhar takht-e-sulaimani par jaane kis des uda le gai shahzade ko ajnabi jaan ke us shakhs ne yun mujh se kaha main magar soch raha tha ki koi pahchan na le