sahar ne masarrat ka naghma sunaya faza ne gulistan ka daman sajaya hawaon ne akhlaq ka git gaea nigahon se mazi ka parda uthaya naya sal aaya naya sal aaya masarrat masarrat ke gun ga rahi hai musawat ke phul barsa rahi hai sada-e-salamat-rawi aa rahi hai zamin muskurai falak muskuraya naya sal aaya naya sal aaya ye hindostan ek aawaz hoga ab insan insan ka dam-saz hoga nae daur ka phir se aaghaz hoga naya san nai rut ka paigham laya naya sal aaya naya sal aaya tassub ki parchhaiyan ab na hongi wo pichhli saf-araiyan ab na hongi zamane mein ruswaiyan ab na hongi mohabbat ka mahaul har samt chhaya naya sal aaya naya sal aaya na aainda aapas mein rakhne padenge na aainda apni zidon par adenge 'laiq' ab na aapas mein insan ladenge yakum january ne ye muzhda sunaya naya sal aaya naya sal aaya