aas-nagar mein rahne wale sada sachche logo nind ka mausam bit gaya hai apni aankhen kholo kal kya khoya kal kya paya aao hisab lagaen aane wala kal kya hoga aao nisab banaen jaane wale kal mein hum ne dukh ke sahra dekhe aash nirash mein ghulti dekhi gham ke dariya dekhe sukhe jismon wale dekhe bhuke nange sae lamha lamha reng rahe the sab kashkol uthae jaane wale kal mein hum ne dastaron ko becha unche aiwanon mein hum ne siparon ko becha jaane wale kal mein hum ne dukh ki fasl ko kata basti basti bhuk iflas ki udti khak ko chata khali hath aur viran aankhen panw zanjir padi chaaron jaanib zahr samundar sar pe dhup kadi dharti par barud ugaya amn ke gane gae ek-duje ke khun se hum ne kaise jashn manae aane wala kal kya hoga aao khoj lagaen diwaron pe zaiche khinchen na-malum ko paen aane wale kal mein shayad khwabon ki tabir mile bhuki khilqat rizq ko dekhe insan ko tauqir mile bachchon ki talim ke nam pe man na zewar beche is dharti par ab na koi zahr samundar sinche aas-nagar mein rahne wale sada achchhe logo mumkin ho to kal ka socho apni aankhen kholo