sach kah dun ai barhaman gar tu bura na mane tere sanam-kadon ke but ho gae purane apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi khuda ne tang aa ke main ne aakhir dair o haram ko chhoda waiz ka waz chhoda chhode tere fasane patthar ki muraton mein samjha hai tu khuda hai khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewta hai aa ghairiyat ke parde ek bar phir utha den bichhdon ko phir mila den naqsh-e-dui mita den suni padi hui hai muddat se dil ki basti aa ek naya shiwala is des mein bana den duniya ke tirathon se uncha ho apna tirath daman-e-asman se is ka kalas mila den har subh uth ke gaen mantar wo mithe mithe sare pujariyon ko mai pit ki pila den shakti bhi shanti bhi bhagton ke git mein hai dharti ke basiyon ki mukti prit mein hai