pata hai tumhaare sath mere sath kitne ittifaq ek sath hue honge to ye surat bani hai ki hum ek sath sansen le rahe hain ki hum ek sath hain is waqt duniya mein yahi sab se bada rishta hai shayad mujh mein tum mein main aisa jaanta hun ki is rishte se har insan jo duniya mein hai rishte-dar hai mera magar in rishte-daron ko nahin malum mere main kya lagta hun in ka so main bhi taaruf is hawale se kabhi un ko nahin deta meri khwahish bas itni hai ki main jaane se pahle is jahan se ziyaada se ziyaada apne logon ko nazar bhar dekh lun bas to chhu kar dekh lun bas samajh mein aa gaya ab sahar se sham tak main kis liye sadkon pe phirta hun main khidki se lagi ek seat ki khatir safar mein kisi bachche ki surat kyun jhagadta hun