nazm

tu kisi aur hi duniya mein mili thi mujh se
tu kisi aur hi manzar ki mahak lai thi

dar raha tha ki kahin zakhm na bhar jaen mere
aur tu mutthiyan bhar bhar ke namak lai thi

aur hi tarh ki aankhen thin tere chehre par
tu kisi aur sitare se chamak lai thi

teri aawaz hi sab kuchh thi mujhe monis-e-jaan
kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujh se

teri chup se hi ye mahsus kiya tha main ne
jit jaega kisi roz tera gham mujh se

shahr aawazen lagata tha magar tu chup thi
ye ta'alluq mujhe khata tha magar tu chup thi

wahi anjam tha jo 'ishq ka aaghaz se hai
tujh ko paya bhi nahin tha ki tujhe khona tha

chali aati hai yahi rasm kai sadiyon se
yahi hota hai yahi hoga yahi hona tha

puchhta rahta tha tujh se ki bata kya dukh hai
aur meri aankh mein aansu bhi nahin hote the

main ne andaze lagae ki sabab kya hoga
par mere tir taraazu bhi nahin hote the

jis ka dar tha mujhe ma'lum pada logon se
phir wo khush-bakht palat aaya teri duniya mein

jis ke jaane pe mujhe tu ne jagah di dil mein
meri qismat mein hi jab khali jagah likkhi thi

tujh se shikwa bhi agar karta to kaise karta
main wo sabza tha jise raund diya jata hai

main wo jangal tha jise kat diya jata hai
main wo dar tha jise dastak ki kami khati hai

main wo manzil tha jahan tuti sadak jati hai
main wo ghar tha jise aabaad nahin karta koi

main to wo tha ki jise yaad nahin karta koi
khair is baat ko tu chhod bata kaisi hai

tu ne chaha tha jise wo tere nazdik to hai
kaun se gham ne tujhe chat liya andar se

aaj-kal phir se tu chup rahti hai sab thik to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close