nazm

By zahid-darAugust 16, 2021
kya tum ne ek aurat ko dekha hai
us ki chhatiyon ke darmiyan ek sanp reng raha hai
us ki ranon ke darmiyan safed pani ka chashma hai
main pyas se mar raha hun


lekin main use hath nahin laga sakta
main ek darakht ke andar qaid hun
kya tum ne ek aurat ko dekha hai
main us ko dekh raha hun


wo ek sanp ko kha gai hai
meri khwahishen us ke pet mein hain
us ne mujhe chhod diya hai
log taliyan baja rahe hain


ye tamasha azal se jari hai
main intizar kar raha hun
jao use dhund kar lao
maut mere liye nai nahin hai


main hamesha marta raha hun
lekin meri zindagi khatm nahin hui
meri khwahishen us ke andar raqs kar rahi hain
jao mujhe dhund kar lao


darakht ke patte gir rahe hain
hawa chikh rahi hai
main ne ek aurat ko aasman par udte hue dekha hai
kya tum ne bhi kuchh dekha hai


agar tumhein kuchh dikhai de to mujhe bhi dikhana
filhaal tum khamosh raho
tumhaari baaten registan ko sairab nahin kar saktin
khushk ret meri pyas nahin bujha sakti


us ki ranon ke darmiyan safed pani ka chashma hai
suraj mere sar ke andar chamak raha hai
pagal-pan raqs kar raha hai
baadalon ne use gher liya hai


main mohabbat ke khwab dekh raha hun
main ek wahime ki aarzu mein marta hun
kya tum ne use dekha hai
43488 viewsnazmEnglish