nazm

By zubair-rizviNovember 30, 2020
tum kis soch mein dub gae ho
hath ka patthar pani ke sine par maro
chot to pani ko aaegi
pani chot ki tab na la kar


maujon ki surat mein bahta
sahil sahil sar patkega
phir khud hi asli haalat par aa jaega
tum kis soch mein dub gai ho


hath ka patthar pani ke sine par maro
main pani hun
56096 viewsnazmEnglish