kal hua shab ko jo minto road par mera guzar ek dukan par ittifaqan ek tabib aaya nazar us dukan ke samne ek board tha latka hua jis pe tha rangin pairae mein ye likkha hua shaikh budhdhan sar-zamin-e-hind ki ruh-e-rawan rahnuma-e-tibb-e-yunani masiha-e-zaman ek bosida sanad thi dar pe latkai hui jo kisi attar-e-kaamil se thi likhwai hui samne the chand dabbe jin mein thin kuchh goliyan muddaton ki ek botal mein thi ruh-e-baadban pas aaya gar koi un ko masiha jaan kar so gaya aaram se do din mein chadar tan kar sainkadon bimar nazr-e-maut yunhi ho gae un ke hathon zindagi se hath kitne dho gae aaj-kal ye hind mein hai tibb-e-yunani ka haal maut ke har ek goshe mein bichha rakkhe hain jal har gali mein hain hakimon ki dukanen be-shumar ek sau bimar agar hain to atibba ek hazar har dar-o-diwar pe chaspan hain un ke ishtihaar fan ke jo mahir the wo bhi ho gae be-e'tibar thi kabhi ye tib haqiqat mein masiha-e-zaman ek din ye hai ki khud hi le rahi hai hichkiyan kya kare wo har tarah majbur hai na-chaar hai kya masihai kare jab aap hi bimar hai in hakimon ka jahan mein gar yahi aalam raha dekh lena garm bazar-e-ajal ho jaega