nind se chaunko

By shad-azimabadiJune 17, 2022
gahri nind se sone walo
waqt ko apne khone walo
raat kati kuchh tum ko khabar hai
chaunko chaunko waqt-e-sahar hai


chand ki rangat ho gai maili
dekho chamak suraj ki phaili
chalte hain jhonke sard hawa ke
jhum rahe hain phul itra ke


koyalen kuken ku ku ku ku
yahu bole yahu yahu
nind se chaunken pankh pakheru
bol rahe hain shakhon pe har su


bhule hue hain is dam sab dhun
lal pukare summun bukmun
khil gain kaliyan bagh ki sari
chaar taraf hain nahren jari


go ki abhi tak kuchh hai andhera
chidiyan lene aain basera
gaen dub ko charne aain
bhainson ne apni shaklen dikhain


ruk gaya is dam bahta dariya
dur talak shaffaf hai sahra
uttho uttho ahmad uttho
munh ko dho kar kapde pahan lo


sair karo maidan ki nikal kar
phul ko dekho bagh mein chal kar
waqt ko khona zulm hai pyare
sun ye nasihat dost hamare


91754 viewsnazmEnglish