wo mera wahm ki jhonka sa koi sabz-qaba tha jise dekha kisi chahkar ki khunki bhi faza mein jo bikharti to ye khulta ki abhi khoj hai aaghaz abhi khoj hai parwaz kabhi yun bhi to hota hai ki ho khoj yahi rakh ki mutthi mein dabi adh-jali patti wahi mamul-e-shab-o-roz ki bedad hi bedad hai randa jo lagatar rahe pherta apna tauba har zawiya hamwar ba-har zawiya chhil chhil ke gawara kahin ho jae na be-sakhta fariyaad ye dhadka sa bana rahta hai dil mein wo tane tut rahe hain jo qadam the jo bharam the ki koi lafz na paya na kisi lafz ka mafhum jo pani ka badal ho wo tane chhan ke khamosh tahen khak ki khamosh tahen aansu-e-aflak ki laut aae wahin apni sisakti hui paimuda hadon mein yahi aasar fazaon ke khule-pan se mozahim jo guzargah mein sailab ki hote to kisi mod par mudte hue shabnam ka nam-o-narm bichhauna unhen milta to do sad resha anasir wo gale bij zara der ko ho jate wahin dher maze mein kaf-e-sailab mein uljhe hue khashak mein poshida wo jud jud ke baham chain se sote ki abhi der hai elan-e-sahar hone mein elan-e-sahar pahle sune jo bhi sahar-khez wo auron ko bhi jag uthne ka paiman-e-faramosh shuda yaad dilae yahi kaliyon ke tabassum mein ghuli yaad-dahani jo thithur jae samaat to samaat ke liye ek anokhi sa dhamaka ye mera wahm shaguni meri zanjir koi andhkar utar aae jo payab gumanon mein to payab gumanon mein utar aati hai gahrai yaqin si koi sayyah si sayarsi jhalkar utar aae jo thahre hue pani mein to thahre hue pani mein rawani ki mushahid meri aashufta-nigahi wo kahan phir bhi magar lahr tale lahr ki tamir ki de jis pe jigar-e-tishna-tamanna bhi gawahi jo wo ek sath-e-garan-maya hai ek qar-e-bala-khez ubharta hua mallah utarta hua aghwaz jahan wahm nahin zinda-o-tabinda haqiqat hai dil-awez koi hire ki kani si ki hai tinat mein sirishta kabhi aawaz ki lau ban gai aafaq-ba-afaq palatti hui auraq kabhi chhanti rahi aankhon se paiham sifat-e-ashk tu badalta hua rasta tah-e-dariya se dahakti hui baalu mein nikalta hua rasta jise dekha wo mera wahm nahin mera yaqin tha koi buta jo khada hai to yahi kaam hai us ka ki khazane ka pata puchhne walon ko batae jo khalaon ka aqab hai wo khala kab hai khala kab jo wahan bhi isi kamli ka kinara ho kisi daur ke imkan sa jhalakta to wahan bhi wahi phailaw chhalakta hai chamakta hai sahar-rang dhundalke mein siyah-chashm tajalli ka khunuk-tab talazum to jigar-sokhtgan-e-do-jahan kaun hai phir khoj mein sargarm ye tum gher ke lae gae tum ya wo nazar manzilat-ara nazar sahab-e-kausar hai ki hai gasht mein bedar jise dekha wo ishaara sa ki han jauf-e-adam jauf-e-adam mein bhi jo mumkin hai khud-arai ke aalam mein ye faizan ka aalam to ye hairat ka thikana nahin tute hue aaino ye jud jaane ki manzil ye jila pane ki ja hai