nishat-ussaniya

By shahnaz-nabiNovember 18, 2020
ye mana ki sare mazahir hain fitri
magar koi puchhe hawaon se
be-mehr kyun lati hai patte
hari daliyon se


zamin karwaten kyun badalti hai
lawe ugalti hai kyun
bastiyan rakh hoti hain
bah jate hain ganw ke ganw


jab taish mein daudta hai samundar haden bhul kar
bijliyan tut padti hain kyun khirmanon par
gahan chand suraj pe chhata hai kyun
ru-ba-ru hone ko kyun machal uthte hain


faslon mein bate
dur-uftada sayyare
tare zamin chum lete hain kyun
isi kurra-e-arz par


chand mitti ke tode
badi der se muntazir hain
kisi aise bartao ke
jo badal de sarapa


wo afaal jin se ibarat taharruk
wo aasar jin se qayamat huwaida
pae-qahr ya mehr
is pal


isi ek pal mein
machal jae fitrat
60191 viewsnazmEnglish